Sunday, September 23, 2018

CHEHARE SE JHAIYA METANE KE GHARELU UPAY

Face se  jhuriya samapt kar dega yah nuska 

Jb age badti hai to uske sath sath jhuriya bhi bad jati hai | face ke alawa hath- pero ki skin pe bhi juhriya badne lg jati hai |
Hum aapko bta rhe hai ak aisa chamatkari upay jisko karne par aap lambi age tak apni skin ka chamakdar or komal banye rak sakte hai |
झाइयां मिटाने के आसन उपाय

Is upay ko karne par skin par 70-80 sal tak ki age hone par bhi jhuriya nhi padegi | aloevera balo ke  liye bhi ak karsme se kam nhi hai |

 aloevera ke gude  balo me kam se kam 30 minit tak lga kar rakhne ke bad dho de, isse balo ka rukhapan dur hota hai or bal kale, ghane v majbut bante hai | 

To aapko pratidin subh khali pet 20-30 ml aloevera ka jush pina chahiye | aloevera me anti biotic, anti bacterial, antioxcident or anti septic gun mojud hote hai jo skin par jaldi jhuriya padne nhi dete hai | aloevera jush pine ke sath agar aloevera ka sevan bhi kar le to umar bhar aapko skin ke rog nhi hote or skin par kil-muhase bhi nhi hote hai aloevera body ki rog pratirodhak shamta ko badate hai | agar aapka pchan tantr kamjor hai v aapko apach or gas ki problem hai, to aloevera ka jush ka sevan sahad or nimbu mila kar kare | isse pet ki problem dur hogi or pachan shakti badegi | body me kil , pimples ya koyi jakhm hone par aloevera ke bich vala bhag vale hisse ko cream ki tarh uspe lgaye iske thode se bhag par haldi lgakar patti ki tarh jakhm par lga le |
Like or comment box me batayiye ki aapko ye jankari kesi lagi |
Thanks

Friday, September 21, 2018

DENGU OR CHIKANGUNIA ME KYA ANTER HOTA HAI OR KESE KARE UPAY

DENGU OR CHIKANGUNIA ME ANDER SAMJHE OR KARE WESE UPAY YA UPCHAR

Dengu or chickanguniya me daffrence 
Dengu or chickanguniya dono hi bimaroya macharo ke katne se hoti hai | chickanguniya ka karan jins ulfavirus hota hai, jo adies prajati ke ajipti or albopictas macharo ke katne se felta hai jabki dengu ka karn jins flevivirus hota hai, jo adies prajati keval ajepti varus ke karan felta hai |
 halaki in symptoms ke aadhar par inka pta lgaya ja sakta hai |
Janiye dengu ka fever kab ho jata hai khatarnak or kya hai siveuar dengu ke symptom ?

Dengu ke symptom:-
Aakhe lal ho jati hai or skin ka colour gulabi ho jata hai |
Gale ke pas ki lymph node sweeling aa jati hai |
Dengu fever 2-4 din tak rahta hai or fir dhire dhire temperature normal ho jata hai | 
Bukhar ke sath sath blood ki kami ho jati hai | 
Sarir me  red ya parpal  colour ke fafole pd jate hai | 
Nose ya gums me blood aane lgta hai 
Dengu ki suruwat tej fever, headache or pith me durd se hoti hai | 
Suru ke 3-4 hour's tak jodo me bhi bhut durd hota hai | 
Achanak se sarir ka temperature 104° ho jata hai or blood pressure bhi normal se bhut kam ho jata hai | 

Chickanguniya ke symptoms:-
Tej fever hona | 
Tej fever hone ka per, hath or jati me halke swelling ke sath gambhir durd hona 
Gambhir pith durd 
Headache 
Thakan ke sath muscles me durd |
Skin per red colour ke chakte ka hona jo aamtor se 48 hour's me dikhayi padte hai | 
Gale me kharash hona 
Aakho me durd or congectivatis hona | 
Kyi  month or year tak sarir me durd rah sakta hai |
Simple fever or dengu ke fever ke symptoms me hota hai daffrence, aise pachane chickanguniya ke khatare:-
Chickanguniya fever 2-12 din tk rahta hai lekin rogi ko isse ubarne ke liye mahino lg jate hai | kyi bar chickanguniya ke maraij ko jodo ki durd ki problem 3 month se 2 year tk jhelni pdti hai | body me pani ki kami ho sakti hai | electrolyte asantulan, pneumonia, sas sambandhit bimariya aadi chickanguniya ke prabhav ho sakte hai 
Kese kar sakte hai dengu or chickanguniya se bachav:-
Dengu or chickanguniya ke symptoms ke dikhne par jaldi hi dr ko dikhaye | agar marij ki sthithi jyada gambhir hai, to use hospital me admit karna chahiye | iske alawa dono hi rogo me body ko taral padartho ki jyada jarurat hoti hai isliye taral padartho ka lgatar sevan karna chahiye | fever ke sath durd or thand mahsus hone par jaldi hi Dr ko dikhaye | 
Thanks

Tuesday, September 18, 2018

KHANE YA चाय में शक्कर KA UPYOG KAR RHE HO TO HO JAYE SAWDHAN

Aap jindgi bhar swasth rahna chahte hai to har mahine 1-1 happte ke liye chini chod de | isse blood pressure bhi niyantrit rahega | or bones bhi majbut banegi |

1.Chini chhodane ke fayde
Adhikatar bimariyo ka sabse bda karan hota hai..... Chini kuch log km khate hai | karan hota hai adhik mitha khana | isi tarh ucch blood pressure, heart attack aadi kyi bimariyo ka karan hota hai - mitha aise me agar in sari bimariyo se bachna hai to har mahine keval ak saptah mitha nhi khaye | isse aap fit bhi rhege or fat free bhi |

2.Aap hoge fitt or fat free
Chini chodne ka sbse pehla asar aapke vajan par pdega | isse aapka vajan bhi km hoga or kamar ke aaspas ki charbi bhi km ho jayegi | darasal niymit chini khane se sarir me insulin hormone ka prtirodh krne lgta hai jisse vajan badne lgta hai | aise me sarir me jb ak bar ye pratirodh suru hota hai to vajan badne ki problem bhi suru ho jati hai jiske bad ise rokna muskil ho jata hai |

3. Niyntrit rhega blood pressure
Chini chodne ka sabse pehle asar humare blood pressure pr padta hai jo aajkal sabka bda hua hai | chini adhik lene se sarir me sugar leval badne lgta hai jisse motape ki problem hoti hai or jiske karan high blood pressure ki problem ho sakti hai | jiske bad sarir sari bimariyo ka ghar banna suru ho jata hai

4. Km bhuk lgna or acha khana jese hi aap chini chodte hai or vajan km hone lgta hai jiske karan sarir me bhuk sambndhit hormones uttejit hote hai jisse aap acha khana ke liye prerit hote hai | darashal chini ka sevan n krne se sarir ki karbohaidret ko pachane ki gati km ho  jati hi jisse aapke sarir me karbohaidret  ki jagah protein wale padarth khane ki icha jati hai |

5. Majbut hoti hai bones (haddiya )
Chini khana chodne se haddiya majbut hoti hai | darashal chini adhik khane se sarir me sarkopenia ki sthithi ko utpann hoti hai | jisse sarir ki muscles kamjor ho jati hai aisa isliye hota hai | queki sarir me atirikt chini protein ko smelit hone se rokati hai or jb protein smelit nhi hota hai to bones me protein ki kmi ho jati hai or ve kmjor hone lagti hai isliye chini chode or bones majbut bnaye |
Thanks

KYA AAP KHANE ME NAMAK KA UPYOG KARTE ? JANE ISSE HONE WALE FAYDE OR NUKSAN

NAMAK (SODIUM CLORID) KAB OR KAISE KHAYE HEALTH TIPS IN HINDI

Namak har inshan lagbhag namak khata hoga per har koyi iske helth ko hone wale fayde or nukshan nhi janta hoga to chaliye hum batate hai namak se kya prbhav hota hai namak ke adhik sevan hone wali pareshaniya :-

1. Jukam - adhik namak, adhik pyash, natija jukam |
2. Blood - adhik namak ka upyog na kre |
3. Ganjapan - adhik namak ka sevan karne se jhadte hai, ganjapan ho sakta hai |
4. Anidra - adhik namak anidra rog ko badava deta hai, km namak se achi need aati hai |
5. Wat rog- adhik namak se ise badawa milta hai | km namak ka sevan kre |
6. Pregnancy me km namak ka sevan kre, isse kyi pareshaniya se dur rhegi |
7. Motapa - adhik namak ke sevan se motapa badta hai | karn adhik namak adhik pyas yani jyada pani sarir me jha tk ho ske km namak le jese safed chini nukshan dayk hoti hai| usi tarf safed namak bhi sarir ke liye adhik namak ghatak hai | pratek aahar ko pehchanne ke liye ak visesh pachan ras ki jarurat hoti hai | adhik namak khane se ve pachak ras utpan nhi hote hai v pachan kriya me tmam pareshaniya hoti hai | adhik namak khane se adhik pyas lgti hai, to pani bhi adhik pina pdta hai, jisse humari skin adhik sakriy ho jati hai v adhik pina bhar fekti hai | jisse sarir ko akarn adhik kam krna pdta hai  or sarir ki kary pranali ki shamta km ho jati hai | aise me tmam bimariyon gher leti hai |
Thanks

HARBAL SAMPOO GHAR BANANE KI AASAN VIDHI !! AAYURVEDIC SHAMPOO GHAR BANAYE AASAN VIDHI SE

Harbal sehampu bnane ki vidhi
Aaj hum aapko btayenge ki harble shampu kese banaye |
Aaj har ghar me shampu ka upyog hota hai. Jo ki chemicals ke bane hote hai.jiska asar ye hua ki aj bohot kam umra me bhi bal safed ho rhe hai. Apne pariwar ko chemical se bne shampu se aajadi de or apne harbal shampu.
Harbal shampu bnane ki
Samagri
Ritha                            50 gram
Aawla.                         50 gram
Shikakayi                    50 gram
Santra  ka chilka        50 gram
Nagar motha              50 gram
Sodium larel sulfate  01 kg
Harbal shampu bnane ki vidhi
1-5 tak ki samagri ko 1 litar. Pani me rat bhar ke liye mila de |
Subh se ise itna ubaliye ki matra 250 gram pani 250 gram pani ses rhe |
Ab ise kapdchan karke sodium larel  sulfate me mila de |
Sehampu tyar hai |
Thanks for you 🙏🙏

SABUN BANANE KI SARAL VIDHI !! AAYURVEDIC SABUN GHAR BANANE KI SARAL TARIKA

Sabun bnane ki vidhi, km paiso se soap bnane ka bussiness kese start kre jane :-
👇
Aaj hum aapko aaj ki life me roj upyog hone vali vastu sabun vo bhi harbal ki aasan vidhi batayenge...
Jisse aap aasani se harbal sabun km peso me aasani se tyar kr sakege |

Samgari ~:
1. Multani mitti              ~ 1kg
2. Suka aawla.               ~ 100 gm
3. Neem ki hari pattiya  ~ 75 gm
4. Dahi ka mattha           ~ 250 gm
5. Nimbu ka ras               ~ 100 gm
6. Ritha                              ~ 50 gm
7. Haldi                              ~ 25 gm
8. Khusbu or rang
👇
Bnane ki vidhi
1. Multani mitti ko barik pis kar chan le |
2. Neem ki pattiyo ko 500ml pani  me chan kar ubale 400ml  pani rhe tb tk
3.100gram aawle ko neem ke pani me 10 - 12 ghante rkhe fir achi tarah chan ke nikal leve l
4. 50gram ritha ko 100ml pani me 12 ghante bhigo kar rakhe fir chan le |
5. Aawle ke tyar pani me multani mitti ko guth le or isme 100ml nimbu ka ras dal de |
6. Sbhi chijo ko sacho me dalkar ya hath se tikiya bna kar dhup me rkh de 3 din ya puri tarh se sukhne tk | ye sabun skin ke liye bhot ho labh kari hai |
YADI HUMARI POST ACHI LAGE TO SHARE JARUR KRE | THANKS FOR YOU

SKIN GLOW KE LIYE GHAR PAR BANAYE FACE PACK

FACE PACK
Ghar me bnaye face pack or nikharne ki khubsurati
Aaj bajar me kyi prakar ki harbal cream face wash, face pack, moturier jese utpadan upalabdh hai | lekin inki kimmat bhut jyada hoti  or fir gunvatta ko lekar chinta to fir  bhi bni rhti hai isliye in utpado se jyada viswash gharelu nuskho per kiya ja sakta hai iske alawa ghar me bnaye gye face pack ke side effects ki  gunjaish  km hoti hai | Aayiye jante hai ki kese ghr bethe hi aap gharelu face pack bna sakte hai |

Monday, September 17, 2018

MIGRAINE YA SIR DARD SE KAISE BACHE OR SARAL AAYURVEDIC UPAY

MIGREN YA SIR DARD KE AAYURVEDIC UPAY 
Ye kuch sir durd ke karan hai lekin iske alawa sir durd kyi karno se ho sakte  hai | jyada sor srabe se bhi sir durd hota hai v surdi khasi se bhi sir durd hota hai |
👇
Nimbu :-
Nimbu bhot acha strot hai, headache dur bhagane ka, queki ye refresh or relax krta hai | nimbu khane se sarir me acid ki matra shi rhti hai | 1 gilash gungune pani me aadha ka ras dale or piye | ydi gas ki vajah se aapka sir durd hai to yah trika bhut jaldi asar dikhayega
Chay:-
Humare Bharat desh me agar humko sir durd ho jaye, to sbhi ghr vale yhi bolege ki 1 cup garma garm chay pilo | turnt thik ho jayega | kyi logo ko chay ki etni aadat hoti hai ki kbhi chay na mile, to durd hone lagta hai | chay sir durd ke liye ramban ilaj hai | chay pine se  need bhi chli jati hai | adrak elaichi vali chay bna ke pijiye aapko jarur aaram milega |
Pudina :-
Pudina hr trike se thandak deta hai | ise khane se sarir ko thandak milti hai  or pet bhi shi rhta hai | pudina hume tajgi deta hai taji pudina patti pis kar pest bna le or ese mathe per lgaye | kuch der bad saf kr le |
Tulshi :-
Tensh muscles ki vjah se sir me durd hone lgta hai ese dur karne ke liye tulshi bhut acha hai | 1 cup pani me 2-3 tulshi patti dal kar ubale thodi shad dal kar  ese chay ki tarah pi le | iske alawa tulshi ki kuch pattiyo ko chabaye | tulshi ke tel se malish kre |
Malish :-
Sir durd ka ramban ilaj hai| kapur ko ghi me milakar sir ki malish kre | sir per hatho se thoda preshar dalte huye malish kare, sir durd me aaram milega|
Thanks

WHITE BALO KO BLACK KARE FIR SE AASAN AAYURVEDI UPAY

SAFED BALO KO FIR SE KALA KARNE KE AAASAN AAYURVEDI UPAY 

Kam age me safed huye balo ko fir se kale kre in saral upayo duvara
Kam age me bal safed hona yuvao me ak aam problem hai | asamaiy balo ke safed hone ke kyi karn ho sakte hai | jinme se aniyamit dincharya, khane me poshak tatvo ki kami, kamjori or anuvanshik karan mukhy hai | aise me balo ko fir  se kala bnane ke liye ak badiya daiet plan or prakrtik tariko se behtar koyi upay nhi hai | chaliye, aaj jante hai aise hi kuch aasan gharelu tariko ke bare me jinhe apnakar safed balo ko fir se kala bnaya ja sakta hai |
👇
Aawle ke kuch tukdo ko nariyal tel me ubal le |  tel ko itna ubale ki aawle kale ho jaye | is tel ko rojana balo me lgane se safed bal fir se kale hone lagege |
adarak :-
Adarak ko chilkar mixci me pis le ise chankar ras nikal le | fir adarak ke ras me sahad milakar balo ki jado me lgaye | 1 ghante bad bal dho le | lgatar yah upay krne se kam age me huye safed bal fir se kale ho jayege |
- Nariyal tel me nimbu ka ras milakar eskulp pe lgaye | yah upay roj kre, safed bal kale hone lagege |
- Hapte me 2 bar caw ke dhudh se bni chach ko balo ki jdo me lgaye | kam age me bal safed nhi hoge
Louki  ko sukhakar nariyal tel me ubal kar is tel ko chankar botal me bhr le | is tel  ki msaj karne se bal kale kale ho jayege |
- Brahmi ki pattiyo ko piskar ya iska tel banakar balo me lgaye, bal kale hone lagege |
- Turai ko katakar nariyal tel me tb tk ubale, jb tk vh kali n ho jaye | is tel ko rojana balo me lgane se bal kale ho jate hai |
- Aawle ka ras,. nimbu ka ras or badam ka  tel
milakr balo ki jado me lgaye |
- Methi dani ko rat bhar pani me bhigo de | subh  methi dano ko dhi me piskar balo me lgaye | 1 ghante bad bal dho le |

BEAUTY TIPS PIMPULS KE DESI UPAY HINDI ME

Skin ko ko kill - muhaso or dag- dhabo se kese dur rakh sakte hai, iske aasan se gharelu upay :-
Muhaso se bachane ke upay :-
1. muhase sambandhi chehre ki problem ko dur krne ke liye chandan bhut hi kifayti hota hai | aap chandan or haldi paudar dhudh ke sath milakar chehre per lgaye to aapko tvcha ki jaln or muhaso se aaram milega |
2.  Pani ke sath ghisha hua jayfal akne or pimple ke ilaj me kargar hota hai |
3. Pyaj ko katkar tel me pardarshi hone tk pkaye | thandi hone per use malmal ke kapde  me bandhakar chehre per rgde |
4.  Yadi chehre per dag, muhase se bigad gya ho to rojana pudine ka pest ka lep kre ak mah tk, chehra sundar ho jayega |
5.  Beshan ko chach me lap bnakar chehre per lgaye |
6.  Bel ke patto ko piskar kapde me bandhkar uska jush 3-4 chamach prtidin pine se muhase thik ho jate hai |
7.  Do krela ko dhokar katkar aadha gilash pani me ubal kar is pani ko pine se fayda hoga |
8.  Bhojan se adha ghanta pehle 1 bda chamach methi churn jal se nigal le |
9.  Jamun ki guthliyo ko pani ke sath ghiskar muhaso per lgane se muhaso me fayda hoga |
10.  Kacche papite kashish galo or chehre per lgane se muhase thik ho jate hai |
11.  kacche anjir ka dhudh muhaso pe lgane se muhase khatam ho jate hai |
12.  Full-cream dhudh me chironji milakar pest bnana bhi akne ki problem me faydemand hai |
13.  Kapur ko nariyal tel ke sath milakar muhase  ke nishan per lgaye or lagbhag 10 minit bad dho le, yah kill muhaso ka kargar ilaj hai |
14.  Rat ko sone se pehle achi tarh muh dhokar,  khote ke ras me haldi paudar lgane se muhaso ki problem ka smadhan se nijat paya ja sakta hai |
15.  Chehra neem ya sabun se dhoye | neem ubale pani se dhoye,  tvcha teliy nhi hogi to muhase niklna band ho jayenge |
16.  3 Chamach rai thode se pani me bhiga de subh pise itna hi pani dale jo pest bn jaye chehre per ise lgaye 20 minit bad dho kill muhase mit jayege |

AAYURVEDIC. FACE PACK GHAR BANANE KI SARAL VIDHI ! BEAUTY TIP IN HINDI

BEAUTY TIPS IN HINDI
AAYURVEDIC FACE PACK
 👉 Ghar bnaye aayurvedic face pack
Aaj kal skin ko vatavaran ke pradushan, dhul- mitti, dhup aadi ka samna krna hi padta hai | aise me tvcha murjhaye si dikhne lgti hai | age ke sath hone vale hormone change se, pradushan se v kyi karna se skin problems karane lagti hai | ydi aapke sath bhi koyi skin problems hai to ghr par hi niche 👇 likhi vidhi se aayurvedic face pack banakar usse mukti pa sakte hai -
Chehre per chechak, choti mata ya badi pimples ke dag rah gye hai to 2 pise huye badam, 2 chamach dhudh or 1 chamach sukhe santre ke chilke ka paudar milakar dhire -  dhire face per male or chod de |
Saptha me 1 bar scrub kre | gharelu scrub banane ke liye 1 chamach dardara chaval ka aata, 1 chamach masur ki dardari dal ka paudar, 1/2 chamach udad ki dal ka dardra paudar, 1 chamach gulab jal or 1/2 chamach sahad milakr gada pest banaye or chehre per lagaye | halka sukhne per scrub krte huye hataye | rang nikhar jyega |
👇
Haldi ko mlayi me dalkar chehre per ragdne se skin chamakili banti hai | haldi ko kacche dudh me dalkar muhaso per lgane se muhase dur ho jate hai |
Aadha chamach santre ka ras lekar usme 4-5 bund nimbu ka ras, aadha chamach multani mitti, aadha chamach chandan paudar or kuch bunde gulab jal ki | in  sabko milakar thodi der  ke liye friz me rakh de | ise  lagakar 15 - 20 minit tk rakhe | iske bad pani se ise dho de | yah teliy skin ka sabse acha upay hai |
👇
Agar aapki skin drie hai, to kaju ko rat bhar dhudh me bhigo de or subh barik piskar isme multani mitti or sahad  ki kuch bunde milakar scrub kre |
👇
Dhup se huyi sawali skin me fir se nikhar lane ke liye nariyal pani, kaccha dhudh, khire ka ras, nimbu ka ras, besan or thoda sa chandan ka paudar milkar ubatan bnaye, ise nahnane ke 1 ghante  pehle lga le | saptah me 2 bar kre | sawlapan khatam ho jayega |
Romchidr jyada bade ho gye ho to un per tamatar ka ras, nimbu ka ras or kaccha dhudh tino ka pack bnakar lgaye |
AGAR HUMARI POST ACHI LGE AAPKO TO ISE SHARE JARUR KRE
Thanks 

LOUKI JUICE OR LUOKI KHANE KE FAYDE !! HEALTH TIPS

LOUKI KE FAYDE
1 Vajan km krne me sahayak
Behad km log is bat ko jante hai ki louki vajan ko km karti hai |Ye or dusri chijo ke mukable teji se vajan km karne me sahayak hoti hai |Louki ko ubalakar namak ke sath khane se vajan jaldi hi kuch hi dino me ghat jata hai | Louki me faibar  ki achi matra se jaldi bhuk nhi lagti or pet bhi bhara bhara sa lgta hai |

2. Chehre me laye prakriti nikhar
Chehare ko andar or bhar se prakrit sundarta or nikhar lane ke liye pratidin Louki ka sevan karna chahiye Louki chehre ko sundar or akarshak bnati hai |
Louki ka jhush pet ki andruni safayi krta hai jisse chehre per dhul, dhup  or prdushan se hone vale muhasho se chutkara milta hai | sath hi tvacha  khubsurat or mulayam bani rhti hai|
3. Diabetes
Louki diabetes ke marijo ke liye behad fayda phochati hai | khali pet louki  ka jhush ka sevan diabetes ke marijo ko subh-subh krna chahiye |
4. Pachan
Jin logo ko pachan sambndhi presaniya ho ve louki ka sevan kre | Louki pet me gas ki samsya ko dur karti hai | isliye ese apne bhojan me jarur istemal krna chahiye |
5. Pesab sambndhi dikkat
Pesab sambndhi dikkate yani urine disordar ko dur karne me Louki ak safal or acha  upay hai | Louki sarir  se sodium ki adhik matra ko km karne me shayak hai | or 1 gilash jhush
 pesab visarjit hone me ho rhi jaln ki samsya ko dur karta hai |
6. Tajgi ke liye
Louki ko halki sabjiyo me gina jata hai | ese khane se pet me bharipan nhi rhta hai bulki yah
sarir me tajgi bnaye rkhne me shayak hai | pratidin tarotaja bne rhne ke liye namak ya masale dalkar louki ka jhush pina kargar upay hai |
7. Vitamin or Protein
Louki me sbhi tarah ke Protein or vitamin paye jate hai | isme vitamin A, vitamin C, vitamin B3, B6 , Calcium, Ayaran, Magnesium, potesium or zink paya jata hai | jo sarir ko kyi bimariyo se bachta hai |
8. Kolestarol se bachaye
Apne khane me louki ka istemal kre yah dil sambndhi bimariyo se aapko bachata hai | louki khane se hanikarak kolestarol km hone lagta hai or heart attack jesi bimari se insan bach jata hai isliye louki ka jhush behad faydemand hota hai






CHEHARE SE JHAIYA METANE KE GHARELU UPAY

Face se  jhuriya samapt kar dega yah nuska  Jb age badti hai to uske sath sath jhuriya bhi bad jati hai | face ke alawa hath- pero ki ski...